Tumne likhna chhod diya to Kalam ruth si gayi hai,
Na jaane kyu meri padhne ki Aadat chhut si gayi hai...
2.
Na likhkar khud ko Sazaa de rahi ho,
Apni hi Khamoshi ka Mazaa le rahi ho,
Waqt na milne ka to bahana hai,
Aisa kar ke Labzo ka Karzaa le rahi ho...
3.
Lakeero ka na milna tay hai,
Kya tumhara Saath nibhana tay hai?
Keh do sirf ek bar Haa mujhe,
Mera tere ghar Baraat lana tay hai...
2 Comments
👌👌
ReplyDeleteThank You Hk...
ReplyDelete